mujeh matloob hoga jaamm lena jab bhi kousar ka
salaam aisa padhoonga dil bhar aaega payambar ka
Zameene karbala kya poochna tere muqaddar ka
hai tujh me aaj tak mehfooz sarmaaya payambar ka
kamar qam kyu'n na ho dil gham se toote kyu'n na sarwar ka
alambardaar aaqir bhai tha baazu baraabar ka
labe darya alambardaarbhi kaam aa gaya aaaqir
bas ab allah hafiz hazrate zainab ki chaadar ka
teri gheerat ko aaqir kya hua kuch toone soncha bhi
bhari mehfil me kaisa tazkera zainab ki chaadar ka
ghadi bhar bhi rabaab aaraam se sone nahi paati
wo jab karwat badalti hai qayaal aata hai asghar ka
saeed zaar par jab bhi koi uftaad aati hai
bas ek aadat si hai wo naam le leta hai hyder ka