Kanz e Aza

Ya Ameeral momineen yeh waqt hai imdad ka ayiye imdad ko

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

Ya Ameeral momineen yeh waqt hai imdad ka ayiye imdad ko, Ap se maqfi nahi hai hale dil Moula mera ayiye imdad ko.

Aye shahe gardoo'n hasham ayiye imdad ko, Aye Nabi ke ibne-am ayiye imdad ko, Aye moride ranjo ghum ayiye imdad ko, Behre Rabbe zul karam ayiye imdad ko.

Taqta e mashqe ziyaye charghe kanj raftaar hu, bekaso nachaar hu, Hai bahut ahwaal shaha in dino mera bura, ayiye imdad ko.


Az paye Qairulwara ayiye imdad ko, Az paye Qairunissa ayiye imdad ko, Mujtaba ka vasta ayiye imdad ko, Behre Shahe Karbala ayiye imdad ko.

Kijiye aasa'n meri mushkil jaldi shaha, ya Ali e Murtuza, Aap ko bimariye Zainulleba ka vasta ayiye imdad ko.


Behre Zainab ya Ali ayiye imdad ko, Behre Kulsoom ya Ali ayiye imdad ko, Behre Abbase Ali ayiye imdad ko, Behre humshakle Nabi ayiye imdad ko.

Behre Baqir az baraye Jafare aali umam, tumko Kazim ki qasam, Der ab mushkil kushayi me na ho behre Raza ayiye imdad ko.


Ya Ali behre Naqi ayiye imdad ko, Ya Ali behre Taqi ayiye imdad ko, Az baraye Askari ayiye imdad ko, Az paye Mehdiye dee'n ayiye imdad ko.

Aap agar chahe toh ek pal me meri mushkil ho hal, aur aajaye kal, Aap agar chahe toh abhi hasil ho dil ka muddua ayiye imdad ko.


Aye Shahe har dosara ayiye imdad ko, Aye nuseri ke Khuda ayiye imdad ko, Haal hai mera bura ayiye imdad ko, Hai yeh waqt imdad ka ayiye imdad ko.

Aye madadgare moine Anbiyaye masalaf, do sadaye la taqaf, Hajate dil ki meri bar layiye jaldi Shaha ayiye imdad ko...