Kanz e Aza

abbas kate hatho ka aejaz dikhaado

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

abbas kate haato ka aejaz dikhaado

din mere(sabke) palatdo meri(sabki) taqdeer banaado


mai bekaso majboor hu naachaar hu aaqa

muflis hu tahe dast hu naadaar hu aaqa

aalam o masaaeb me giraftaar hu aaqa

is waaste nusrat ka talabgaar hu aaqa


mushkil me ghareebo ke madadgaar tumhi ho

har bekaso beyaar ke ghamqaar tumhi ho

farzande yadullah ho muqtaar tumhi ho

fouje shahe bekas ke alamdar tumhi ho


allah ne baqsha hai tumhe rutbae aali

mohtaaj ke daata ho to bekas ke ho waali

tum baabul hawaaij ho zamaana hai sawaali

mai bhi hu gada aur hai daaman mera qaali


har simt se hai mujh pa museebat ki chadhaai

apne ghamo aalaam me qushiya'n hai paraai

har raahate dunya ne nazar mujh se phiraai

dil deta hai ro ro ke sakina ki dohaai


zinda'n me tadapti hui bachi ka tasadduq

binte shahe bekas ki yateemi ka tasadduq

tum jiske ho saqqa usi pyaasi ka tasadduq

ho mujh pe karam ab to bhateeji ka tasadduq


saqqaae haram shaame ghareeba'n ka tasadduq

be goro kafan shaahe shaheeda'n ka tasadduq

namoos ke gesue paresha'n ka tasadduq

syedanio ke chehra-e urya'n ka tasadduq


aye naasire dee'n sarware mazloom ka sadqa

aye haamie dee'n zainabo kulsoom ka sadqa

besheer ke sookhe hue hulqoom ka sadqa

sajjad ka aur baqare masoom ka sadqa


aaqa shahe mazloom ki touqeer ka sadqa

bechaardi-e zainabe dilgeer ka sadqa

darbaar me goonji hui taqreer ka sadqa

beemaar se lipti hui zanjeer ka sadqa


aaqa ye Riyaaz (ghulaam / kaneez) apna kise haal sunaaye

koun aisa hai toota hua dil jisko dikhaaye

apne bhi nazar aane lage ab to paraaye

hai koun tumhaare siwa bigdi jo banaaye