Kanz e Aza

kashti hamari paar lagaana

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

imaame zamana a.s

kashti hamari paar lagana

imaame zamana a.s

ghulaamou ko apne bhool na jana

imaame zamana a.s

nigaahe karam ham pe aaqa tumhari

umeede liye aaye dar par tumari

mayoos ham ko na moula phiraana


mushkil kusha ibne mushkil kusha ho

haajat ho puri haajat rawa ho

moula hamari bigdi banaana


godi me jinki nahi koi bachha

ata kardo unko asghar ka sadqa

godi sabhi ki moula sajaana


kab se ye daaman pasaare hue hai

gham to hamesha hamare hue hai

khushio ka moula dedo qazaana


ada kardo qarze ghaib se moula

kisi ka na mohtaaj rakhna qudara

izzat se hum sab ko moula jilana


jo bekaar hai unko rozi dilado

jo soye muqaddar hai unko jagaado

rozi se hum sab ko moula lagana


jo beemaar hai unko shifa dedo moula

sadqaye shahe huda dedo moula

mareezou ko bistar se moula uthaana


tumhe waasta moula hai panjetan ka

wo karbobala ke bhai behan ka

rahe shaado abaad sabhi ka gharana


tumhe waasta moula rasoole zaman ka

wo karbobala ke ghuncha dahan ka

ghame ehlebait ham se kabhi na bhulaana


ziyarat ka shouq moula dil me hamare

ghulaam apko moula dil se pukaare

wo din aaye moula karbala bulana