Kanz e Aza

Madad kijiye ya imame zamana

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad kijiye ya Imame Zamana.

Aseerane kulfat ki rudad sunlo, Do alam ke hakim ho fariyad sunlo, Musalsil sitam dha raha hai zamana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Hua yeh jahan afaton ka basera, Kidhar jayein chaar su hai andhera, Hai taqdeer me kab talak ghum uthana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Har ek bazme aala ke hai aap oula, Har ek baat se ap waqif hai Moula, Bhala raaze dil ap ko kya batana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Agar ap chahein sab ka bhala ho, Jo maqrooz hai qarz unka ada ho, Ke hai apki thokarou me zamana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............


Qasam jalte qaimou ki deta hu tumko, Ujadti hai duniya Khudara bachalo, Hai sholou ki zad par har ek ashiyana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............


Shahedee'n ke waris Khuda ke sipahi, Hai maqtal me mazloom ki begunahi, Ata kijiye jazbaye fatehana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Hame kaash turbat me jaane se pehle, Tumhe dekh le mout aane se pehle, Bhala zindagi ka hai koi thikana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Aseerane Karbobala ki qasam hai, Tumhe duqtare Fatima ki qasam hai, Jo qaidi hai unko rehayi dilana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Kahi'n jake hargiz na taskeen hogi, Yaqinan mohabbat ki touheen hogi, Kisi aur ko haale dil kya sunana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Hui shaqsiyat uski naami girami, Falak ne bhi jhuk jhuk ke di hai salaami, Jise mil gaya apka aastana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Tumhei de raha hu qasam dhoond lena, Ke aagha ke naqshe qadam dhoond lena, Yeh kehkar kiya ansu'ou ko rawana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Bhala koun deta hai kisko sahara, Tumhara karam mil gaya jo thikana, Safine ki qismat toh thi doob jana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana madad..............

Qasam hai tumhei unki uftaad sunlo, 'Bilaal' aur 'Amir' ki fariyad sunlo, Aqeedat hai tumse bahut walehana-Imame Zamana.

Madad kijiye ya Imame Zamana Madad kijiye ya Imame Zamana..