Kanz e Aza

Ya Ali Mushkil kusha aapse faryaad hai

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

Ya Ali mushkil kusha apse fariyad hai, Aaiye behre Khuda apse fariyad hai.

Der na ab kijiye jald khabar lijiye, Behre Rasule Khuda apse fariyad hai.

Dil hai hamara malool behre janabe Batool, Behre Hassan Mujtaba apse fariyad hai.

Deti hu mai wasta hazrate Shabbir ka, Behre aseer e bala apse fariyad hai.

Baqar o Jaffer ki hai apko Moula qasam, Az paye Kazim Raza apse fariyad hai.

Behre Taqi o Naqi behre Hassan Askari, Jald ho sehat ata apse fariyad hai.

Az paye Mehdi e dee'n jitne hai sab mominee'n, Ghum na ho unko zara apse fariyad hai.

Akbaro Abbas ka wasta Shabbir ka, Ap hai Shere Khuda apse fariyad hai.

Zainab o Kulsoom ka Asghar e masoom ka, Deti hu mai wasta apse fariyad hai.

Auno Mohammed ka aur Qasime nashaad ka, Kijiye sadqa ata apse fariyad hai.

De rahi hu wasta Bali Sakina ka mai, Aye Shahe uqdakusha apse fariyad hai.

Apke dar se Shaha koi na sahil phira, Mujhko bhi ho kuch ata apse fariyad hai...