ya rab dua qubool ho zainab ka waasta
karbobala ki sabir o muztar ka waasta
dar dar phiri bazaar me be maqna o chaadar
us waarise tat'heer ki chaadar ka waasta
do laalo'n ko nisaar kiya raahe quda me
zainab ke dil ke dagho'n ke nashtar ka waasta
lekar balaaye hoti thi jin par nisaar wo
hamshakle mustafa ali akbar ka waasta
jo hai mareez unko shifa ataa kar
hamshakle fatima ke khule sar ka waasta
ya rab hame masoomou ki ziyarat naseeb ho
mazloome karbala ke kate sar ka waasta
mohtaaj hai imaam ki doulat naseeb ho
mehroom na kar fatima ke dar ka waasta