ab madad keeje dame imdad hai, ya ameeral momenee'n faryad hai.
1. mubtelaye gham dile nashad hai
munharif charqe sitam eejad hai.
yeh zamana bar sare bedaad hai.
aap par roushan meri roodad hai.
ab madad kije dame................................
2. hai madad ka waqt ya shaahe najaf.
ek taraf mai hu zamaana ek taraf.
dijiye moula sadaaye la tahaf.
jaane sheeri'n muft hoti hai talaf.
ab madad kije dame.................................
3. roz shab rehta hai raahat me qalal.
kal nahi ek aan dil ko aajkal.
bujh gaya hai qud ba qud dil ka kawal.
aap gar chaahe to sab uqde ho hal.
ab madad kije dame.................................
4. ya ali ya aeliya ya abul hassan.
aye rasoole kibriya ke jaan o tan.
aye madadgare habibe zulmenan.
hai hujoome hasrato ranjo mehan.
ab madad kije dame.................................
5. main tane tanha hu bas koi nahi.
aap bin faryad-o ras koi nahi.
dukh to ye aur hum nafas koi nahi.
dekhta hu pesh-o pas koi nahi.
ab madad kije dame.................................
6. sab tarha ki aapko qudrat hai aaj.
jisko chaaho usko baqsho taqt o taaj.
qud ba qud afsurda rehta hai mizaaj.
aye maseeha kya karu iska ilaaj.
ab madad kije dame.................................
7. aap hai naame quda daste quda.
aaftabe mashriqe lutfo ataa.
jaanasheen e hazrate qairul wara.
muqtada waala hasham behre saqa.
ab madad kije dame.................................
8. hai muhabbat dil ko jo had se zyaad.
bhoolti ek dum nahi hazrat ki yaad.
aap par zaahir hai mera eteqaad.
kisse maangu phir bhala apni muraad.
ab madad kije dame.................................
9. aapke dar ka gada hu ya ali.
naame aqdas par fida hu ya ali
laayeqe lutfo ataa hu ya ali.
qaidi e daame bala hu ya ali
ab madad kije dame.................................
10. khol do uqdo'n ka ya mushkil kusha.
thaam leeje haat ya daste quda.
aap hai kounain ke haajat rawa.
mai pukaaru kisko hazrat ke siwa.
ab madad kije dame.................................
11. batne maahi me hue yunus jo band.
qwaar qaar gham se dil tha darmandh.
aap ne un par na aane di gazandh.
fikr me hai meri jaane mustamandh.
ab madad kije dame.................................
12. yaa ali ya roohi o qalbi fidaak.
taaj sar hai aapke qadmo'n ki qaak.
teghe gham se hai kaleja chaak chaak.
laakh sadmo'n me hai jaane dardnaak.
ab madad kije dame.................................
13. al ataa aye taajdare hal ataa.
al hafeez aye sheh sawaare laafatah.
al amaan aye zaighame rabbul ulaa.
al ghayaaz aye qusra o qaibar kusha.
ab madad kije dame.................................
14. aapko roohe payambar ki qasam.
aapko zehra-e-at'har ki qasam.
aapko shabbir-o shabbar ki qasam
aapko salman-o buzar ki qasam.
ab madad kije dame.................................
15. qurbe zainul aabidee'n ka waasta.
baqire ilme mubeen ka wasta
jaffare sahab yaqee'n ka wasta
kazime gardu'n nashee'n ka wasta.
ab madad kije dame.................................
16. behre soze seena e moosi raza
behre ikraam e taqi e muqteda
behre anwaare naqi shaahe huda
behre ilme askari e baquda.
ab madad kije dame.................................
17. mehdi-e haadi ka sadqa ya imam
matlabe dil mere bar aaye tamam
mujhse ho sakta nahi kuch inseraam
aap par mouqoof hai sab mere kaam.
ab madad kije dame.................................
18. hai ziyarat ke liye dil beqaraar
rouza e aqdas pa kyukar hu nisar
haa'n bulalo aye ameer e taajdar
aap zee qudrat hai mai be iqtiyaar
ab madad kije dame.................................
19. ghere rehti hai mujhe aksar bala
hind me moujood hai ghar ghar bala
ho bala gardaa'n karo door har bala
ho najaf maskan to madfan karbala
ab madad kije dame.................................
20. tab'aa me moula rawani dijiye
tishna e kousar hu pani dijiye
taaqate rangee'n bayaani dijiye
dil ko shouqe mad'ha qwaani dijiye
ab madad kije dame.................................
21. aapka maddaah ahqar hai anees.
sab sana khaano me kamtar hai anees
banda e salman o qambar hai anees
aajizo hairaan o muztar hai anees.