hussain kashtie ummat ko thaamne waale
dare huzoor pe haazir hai maangne waale
hussain bigde muqaddar sawaarne waale
hussain girte huo'n ko sambhaalne waale
hussain aayi balaao'n ko taalne waale
hujoome fikr se ab dam labo pe aata hai
hussain aap ne laakho ka ghar banaaya hai
wafoore gham se andhera nazar me chaaya hai
nabi ki tumko nabuwat ka waasta moula
Ali ki tumko imamat ka waasta moula
quda ki aapko azmat ka waasta moula
jawaani-e ali akbar ka waasta aaqa
shahadate ali asghar ka waasta aaqa
sakina pyaasi ki furqat ka waasta aaqa
tumhi mashiyate qaaliq ho aur kis se kahe'n
kahan talak ghamo andoh apne dil pe sahe'n
ba haqqe zainabo kulsoom bigde kaam bane
tumhi to bigde muqaddar banaane waale ho
tumhi to qaide alam se chudaane waale ho
gule muraad se daaman ko bharne waale ho
bohot hi qalb shikasta hai na-ummeedi se
hazaaro thokre khaai hai badnaseebi se
badalde'n aap muqaddar ko khush naseebi se
*hijaab* aankho se rouza lagaane aati hai
hijaab ashke aqeedat chadaane aati hai
hijaab jaawera qismat banaane aati hai