mere moula mujhe do sahara, maine thaama hai daaman tumhara
dhalde sooraj ko tumhe ubhaara, maine thaama hai daaman tumhara
tum hi mushkil kushaae jaha'n ho , tum hi moulae kouno makaa'n ho
ambiya ne bhi tumko pukaara, maine thaama hai daaman tumhara
meri kashti bhawar me phasi hai, dushmano ke labo par hasi hai
kardo nazdeek mujh se kanaara, maine thaama hai daaman tumhara
gardisho me muqaddar hai mera, kya karu chaarsu hai andhera
tum jo chaaho to chamke sitaara, maine thaama hai daaman tumhara
ranj me kabse mai mubtela hu, kab se moula aseere bala hu
kya tadapna mera hai gawaara, maine thaama hai daaman tumhara
mustafa ke lie ab bachaao, fatima ke lie jaa'n chudaao
ab to mutlaq nahi gham ka yaara, maine thaama hai daaman tumhara
tumko moula hasan ki duhaai, sarwaro bekafan ki duhaai
sunlo faryaad meri qudaara, maine thaama hai daaman tumhara
behre abbas baazu ko thaamo, bediya behre sajjad kaato
ya ali mai hu banda tumhaara, maine thaama hai daaman tumhara
waasta akbare noujawa ka, waasta cheh mahine ki jaa'n ka
kardo rehmat bas ab ishaara, maine thaama hai daaman tumhara
zahno dil par laakh aari, mad'ha kaise rukegi tumhaari
tumne khud fikr ko hai sawaara, maine thaama hai daaman tumhara
apne *kirmani* par rehm khaao, jald rouze pa moula bulaao
dar dikhaado mujhe ab tumhaara, maine thaama hai daaman tumhara