Kanz e Aza

Shabbir ki mazloom bahen khuld se aao

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

Shabbir ki mazloom behen quld se aao fariyad ko pohuncho, Shahzadi kanizo ki muradou ko dilao fariyad ko pohuncho.

Aaye hai jo is dar pe to qali na phirenge hum leke uthenge, Bibi dare aqdas se na mehrum phirao fariyad ko pohuncho.

Faqa kashi o gurbat o iflaas se Bibi tang aaye hai hum sab, Ab tumko qasam Hazrate Abbas ki aao fariyad ko pohuncho.

Bibi tumhe is Shere dilawar ki qasam hai Akber ki qasam hai, Shabbir ke sadqe me musibat se chudhao fariyad ko pohuncho.

Bimariye Sajjad ki deti hu qasam ab aye Hazrate Zainab, Bimaar jo hai unko shifa jald dilao fariyad ko pohuncho.

Bibi tumhe ab Auno Mohammed ki qasam hai Qasim ki qasam hai, Ab apne kanizou ki madad karne ko aao fariyad ko pohuncho.

Jo daulate aulad se mehrum hai Bibi az behre Payamber, Imdaad unhe aap ke hi dar se ata ho fariyad ko pohuncho.

Shazadiye Kounain 'Himayat' hai pareshan woh saqt hai hairaa'n, Lillah bas ab iski madad karne ko aao fariyad ko pohuncho.