Kanz e Aza

Ya Hazrate Raza paye imdad ko aao Ya Zamino Samin

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

Ya Hazrate Raza paye imdad ko aao Ya Zamino Samin, Duniya ke hume ranjo musibat se bachao Ya Zamino Samin.

Woh apki mazlomi o tanhayi ke qurbaan aye Fatima ke laal, Shiyou ki himayat ke liye tous se aao Ya Zamino Samin.

Moula yeh gharibou ki asirou ki tamanna hajat ki dilana, Jo rozi ka talib ho use rozi dilsao Ya Zamino Samin.

Az behre Mohammed o Ali Fatima Zehra aye Sayyede wala, Ho jaye taraqqi abhi matlab ko dilaao Ya Zamino Samin.

Az behre Hassan ibne Ali kijiyo imdad fariyad hai fariyad.

Bimaar ko sehat ki dawa lake pilao Ya Zamino Samin.

Hum wasta dete hai Hussain ibne Ali ka aur tashnalabi ka, Har ek bala se hume tum aake bachao Ya Zamino Samin.

Sajjad ke Baqir ke liye karna yeh ahsaa'n aye deen ke sultaan, Aur qarz ada karne ke samaan banao Ya Zamino Samin.

Aur Jaffer e Sadiq ke liye aye Shahe wala sun lijiye Moula, Ya Shah mere bachhou ko parwaan chadhaao Ya Zamino Samin.

Aur Mosiye Kazim ke liye aao madad ko fariyad ko pohuncho, Ghar qair se phir laake azizou ko milao Ya Zamino Samin...