Kanz e Aza

Aye Sakina suno toote dil ki fugaa

A munajat. Lyrics in Roman Urdu.

Tashnalab duqtare shahe kouno makaa'n, Aye Sakina suno tute dil ki fugha'n.

Har taraf ab toh chayi hai mayusiya'n, Raah sooni hai mai dekhti hoon jaha'n, Ghum ka yaara nahi ab labo par hai jaa'n, Aye Sakina suno tute dil ki fugha'n.

Karne mushkil kushayi meri aaiye, Mujhpe nazre karam apne farmaiye, Zindagi ka hai har lamha ek imtehaa'n, Aye Sakina suno tute dil ki fugha'n.

Hai bhanwar me safina mera kya karu'n, Hai kanara bhi mujhse qafa kya karu'n, Do sahara mujhe mai hu muztar yaha'n, Aye Sakina suno tute dil ki fugha'n.

Chand saanson ki mohtaj hu aaiye, Mujhpe aye Shahzadi taras khayiye, Aap ke dar se uthke mai jaon kaha'n, Aye Sakina suno tute dil ki fugha'n.

Wasta che(6) mahine ki jaa'n ka tumhe, Wasta Akbare noujawa'n ka tumhe, Apni rudaad karti hu tumse Bayaa'n, Aye Sakina suno tute dil ki fugha'n.

Tum ko zindaan ke tarikiyon ki qasam, Aur rasan basta Saidaniyon ki qasam, Kardo mushkil ko asaan aye Sarwar ki jaan, Aye Sakina suno tute dil ki fughan.

Mujhko sadqa do Karbal ke bimaar ka, Mujhko sadqa do pyase Alamdar ka, Aao imdaad ko meri tum ho jahaan, Aye Sakina suno tute dil ki fughan.

Tumko Zainab ki chadar ka hai wasta, Wasta tumko bazuye Abbas ka, Kis tarah haale dil ab karu mai bayaan, Aye Sakina suno tute dil ki fughan.

Hai 'Sohail' apke dar ka adna ghulam, Iske banjaye bigde huwe saare kaam, Raat din iske lab par hai bas yeh fughan, Aye Sakina suno tute dil ki fughan.