karbobala ke hyder aaqa madad ko aao
aye shaah ke baradar aaqa madad ko aao
toofaa'n me hai safeena aye ashiqe sakina
jaldi bachaalo aakar aaqa madad ko aao
dunya bhula rahi hai qurbaanie shahe dee'n
aye aashana e sarwar aaqa madad ko aao
le le ke qushk kooze pyase khade huwe hai
kardo ata samandar aaqa madad ko aao
ye qoob jaanti hai baazu nahi hai fir bhi
dunya khadi hai dar par aaqa madad ko aao
ghurbat ki laaj rakh lo ulfat ki laaj rakhlo
aye etebaare sarwar aaqa madad ko aao
shere quda ki dukhtar zainab ka waasta hai
sabro raza ke paikar aaqa madad ko aao
azmat ki sarhado me kounain ki hadou me
hai koun tumse behtar aaqa madad ko aao
kitne gharou me bachhe bhooke bilak rahe hai
tum ho ghareeb parwar aaqa madad ko aao
takra rahe hai hum se zulmo sitam ke lashkar
shere quda ke dilbar aaqa madad ko aao
aayina e azaae shaahe huda ki janib
aane lage hai pathar aaqa madad ko aao
chaaha hua adhera hai bewafaio ka
arshe wafa ke aqtar aaqa madad ko aao
jhutla rahi hai dunya pyasou ki wo kahaani
mashko alam ko lekar aaqa madad ko aao
kaskol e dil badhaaye kab se bilal o aamir
aake khade hai dar par aaqa madad ko aao