mushkilkushaae qalqe qudaara madad karo
zainab pukaarti hai ke baba madad karo
lashkar hua tamaam nahi koi jaa'n nisaar
narghe me zalimo ke hai zahra ka gullezaar
bekas pe toot padte hai laakho sitam sheyaar
behre madad ab aaiye ya shaahe zulfeqaar
zaqmo se choor hai mere bhai ka sab badan
ab dagmagaa rahe hai faras par shahe zaman
humshakle mustafa hai na aur qasime hassan
shaane kataaye sote hai abbase saf shikan
beti tumhaari kya kare us waqt ya ali
girta hai koi dam me faras se mera aqi
mazloom bhai tak na behen ran me jaa saki
abbas jaagte nahi kab se jaga chuki
baba zameene karbobala qoo'n se laal hai
baba hazaar tegho me amma ka laal hai
baba sambhaal lo ke hussain ab nidhaal hai
baba tumhaari beti ka adna sawaal hai
wo pyas aur wo zaqm wo sehraae karbala
wo saamne ki dhoop wo zaqmo ka mu khula
wo lu se phatna zaqmo ka wo dard wo jafa
bekas bhi wo ke jis se zamana phira hua