Kanz e Aza

MUSLIM KEY YATIMON KI KUFAY MAI SHAHADA

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Muslim key Yatimon ki kufay mai Shahadat Hai

Sar Pito karo Matam yeh Waqt-e-Musibat Hai


Baba Bhi Nahi Sar Par Aur Paas Nahi Maa bhi

Pardes Mai Bachon Par ye kaisi qayamat hai


Faryad Karay Kissay, Kis say Kehan Dard Apna

Bhukay Hai Akele Hai Aur Pyaas ki Shiddath Hai


Kuch Rehem Nahi Khaya, Haris Ne Sitam Dhaya

Masoom Yatimon Par Ye Kaisi Musibath Hai


Ek Bhai Ka Sar Kata Ek Bhai Ko Dikhla

Kar

Kya Dard Ka Manzar Hai Kaisi Yeh Kayamath Hai


Haan Inki Shahadath Bhi Tamheed Hai Karbal Ki

Inhi Bachon ka Matam Bhi Shabir ki Nusrath Hai


Ab Pesh Karay Pursa Hum Bibi Rukhaiya ka

Muslim ki Yatimee Par Ye Taza Musibath Hai


Shazadoun ke Rauzon Par Hum Jakay padhe noha

Har dil Main Rasheed ab Toh Bas ek yahi Hasrath hai