Hay Qasim mere ×2
‘Tere tukdon pe man ×2 kaise roye tujhe -
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Tere baba ne mujhse wasiyat ye ki
Mere bhai pe jab aye mushkil ghadi
‘Meri janib se tum ×2 war dena ise -
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Dekh karti hai bali Sakina buka
Aye chachi mere bhai ko ye kya huwa
‘Aye mere lal mai ×2 kaya bataun use –
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Khun se ranggi huwi tere karbobala
Hay mara gaya ran me tu be khata
‘Ek gathdhi me shah ×2 le ke aye tujhe –
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Kamsini ka tere pas kuch na rakha
Jism ghodo se pamal tera kiya
‘Jaa bajaa the tere ×2 tukde bikhre huwe-
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Shah ne ro kar kaha aye mere gulbadan
Mujhko yad agae mere bhai hasan
‘Unke tukde jigar ×2 tukde tan ke tere –
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Pursa kulsum-o Zainab ne ro kar diya
Yousuf e Karbala hay mara gaya
‘Sar ko ahele haram ×2 peet kar ro pade –
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...
Hay Qasim mere ×2
Faiz-o manzar ne Qasim ka nawha padha
Bibi farwa ko bete ka pursa diya
‘Phat gaya ye jigar ×2 ask jari huwe –
Mere naojawan hai lasha khan
Ye tukde ter uthati hai man...