Hai qaid abide beemar kya qayamat hai
nahi hai koi madadgaar kya qayamat hai
Hai dasto paae mubaarak me bhaari zanjeerei'n
Gale me touqe giraa'n baar kya qayamat hai
Bandhe hai haath rasan me hai god me bache
wo tez oonto'n ki raftaar kya qayamat hai
Pade hai laashe azeezo'n ke garm rethi par
hai qaid waarise ghamqaar kya qayamat hai
Sakina qaid me baba ko jab bhi roti hai
layee'n ghurakte hia har baar kya qayamat hai
Bitha ke oontho'n pa syedaaniyo'n kko be parda
phiraae koocha o baazaar kya qayamat hai
Yazeed baitha hai taqte tilaa pa aye mazhar
khade hai aabide beemaar kya qayamat hai