Kanz e Aza

Bekasi ka sheh ke charcha reh gaya

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Bekasi ka sheh ke charcha reh gaya

mujrayi mehmaan pyasa reh gaya


kaatib aamaal bhi ruqsat hue

haye mai ghurbat me tanha reh gaya


qabr me hoga hisaabe zindagi

baad marne ke bhi jhagda reh gaya


qabr me rakh kar na tehra koi dost

mai naye ghar me akela reh gaya


jab hui be parda aulaade rasool

phir jaha'n me kis ka parda reh gaya


teer gardan par jo khaaya dhoop me

bhar ke thandi saans bacha reh gaya


so'oge kab tak bas ab utho 'anees'

Din bohot ghaflat me thoda reh gaya