Kanz e Aza

Behre zikre murtaza irfane dawar chahiye

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Behre zikre murtaza irfane dawar chahiye

Ulfate noore khuda ko dil munawwar chahiye


Ulfate shaahe wilayat kaam kuch aasaa'n nahi

Qalbe salma'n chaahiye Qoo-e- Abuzar chahiye


aati hai roomaal lekar majliso me fatima

nazr dene ke lie aansu ke gouhar chahiye


dhoop me jalti zamee'n par zibha hote hai hussain

daamane paake nabi zahra ki chaadar chahiye


kehte the abid jinhe raahat mile wo aur hai

hum ghareebo ke lie kaanto ka bistar chaahiye


kehke ye sajjade muztar ne pehenli bediya'n

thaam ne kashti ko ummat ki ye langar chahiye