AYE WAARIS E SHABBIR AB AAJAO QUDARA.
1.Aye Waaris E Shabbir Ab Aajao Qudara.
Aye Sahibe Tatheer Ghareebon Ka Sahara.
2.Ek Aapse Ummeed Hai Aye Hujjate Aaqer.
Ho Jaayiey Ho Jaayiey Ab Daher May Zahir.
Pursaan E Haal Koun Hai Duniya May Humara....
3.Har Samt Se Hai Zulm Ki Yalgaar Musalsal.
Har Ek Se Imaa Ko Hai Aazaar Musalal.
Dushwaar Huwa Jaata Hai Momin Ka Guzara.....
4.Jis Khoon May Hai Ishq E Ali Or Gham E Sarwar.
Paani Ki Tarah Usko Bahate Hai Sitamgar.
Kya Aapko Iss Khoon Ka Behna Hai Gawara....
5.Islam Jo Hai Aapki Ajdaad Ki Mehnat. Phir Narghaye Aada Mayahai Bay Aas Ki Surat.
Duniya May Wohi Deen Hai Taqdeer Ka Maara....
6.Hum Bichaye Huway Raahon May Pade Hain.
Hum Sar Pe Kafan Baandh Ke Taiiyar Khade Hain.
Ek Aapki Janib Se Bhi Hojayae Ishaara.....
7.Aawaaz Lagati Hai Tumhe Karbobala Phir.
Kounain Me Goonje Wohi Halmin Ki Sada Phir.
Chamkega Yahi Deen Ki Kismat Ka ....
Aye Waarise Shabbir Ab Aajao Qudara..
AZZ:-Ali Anjum Sadiq