ashk e gham may hai neha karb ke manzar kitne
chand khatron may simat aaye samandar kitne
janisaran e hussaini hai parakhle dunya
hum bhi dekhe ke tere paas hai khanjar kitne
ask e gham may…
sar to zakhmi hua apna ye magar jaan gaye
kis kamigaah se phayke gaye pathar kitne
ask e gham may…
naam allah ka lene ke liye maaz-allah
log tameel kiye baithe hai khyber kitne
ask e gham may…
ulfate aal ka dunya ne sila khoob diya
lutgaye kitne makeen khaak huye ghar kitne
ask e gham may…
ek aalam hai ke rota hai ghame sarwar may
bandh baandhenge jigar aap to ghar ghar kitne
ask e gham may…