Kanz e Aza

Akbar ki Naujawani

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

akbar ki naujawani asghar ki bezubani

ek gham ki daastan hai ek dard ki kahani


pabandiya hazaro aayad kare zamana

roke na ruk sakegi askhon ki ye rawani

akbar ki naujawani...


bekaar koshishe hai matam ko rokne ki

matam sada rahega ye gham hai kya ledani

akbar ki naujawani...


har waaqeya hai jiska dooba hua lahoo may

dunya bhula sakegi kis tarha wo kahani

akbar ki naujawani...


le kar chale hai sarwar asghar ko ran ki jaanib

shayad pilaade koi do ghoont isko pani

akbar ki naujawani...


dam tod te hai akbar ran may tadap tadap kar

parwaan chad rahi islam ki jawani

akbar ki naujawani...


bole hussain ya rab jaata hai ab wo marne

husn o shabab may jo ahmed ki hai nishani

akbar ki naujawani...