Zikre ghame hussain se mehfil saji rahi
gul ho gaya charaagh magar roushni rahi
akbar ke baad zeest me kya dilkashi rahi
laila tamaam umr yahi sonchti rahi
qaime furaaat se to hataae gaye magar
Abbase naamdaar ki tyori chadhi rahi
abbas lene aaye jo maidaan ki riza
zainab bas apne baazuo'n ko dekhti rahi
Ashke ghame hussain ka toota na silsila
roomaale fatima me hamesha nami rahi
balwe me berida sare zainab ko dekhkar
Allah jaane kaise qayaamat ruki rahi