Kanz e Aza

Zainab Nay ki Yeh Faryaad Nana

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Qatil Khara Tha Bhai Kay Sar Per Rothi Rahee Mei Kat Tha Raha Sar

Karti Rahee Mei Faryaad Nana, Faryaad Nana, Faryaad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Rasee Thi Ik Ore Bara Galay Thay Darbaar Mei Hum Aesay Gaey Thay

Hum Per Houee Vo Baydaad Nana, Baydaad Nana, Baydaaad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Thouq-o-Salasel Garden Mei Dalay Zanjeer-o-Bairee Hathon Mei Pehnay

Chalthay Rahay Youn Sajjad Nana, Sajjad Nana, Sajjad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Akbar Nahien Hai Asghar Nahien Hai Qasim Nahien Hai Sarwar Nahien Hai

Aatay Hain Mujhko Sub Yaad Nana, Sub Yaad Nana, Sub Yaad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Is Gham Say Mera Phat Tha Hay Seena, Qaidee Hai Ub Thak Bali Sakina

Ore Hum Houay Hain Azaad Nana, Azaad Nana, Azaad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Chader Nahien Thi Afsos Ser Per Hum Bayrida Thay Shirin Kay Dar Per

Kaisee Thee Aaee Uftaad Nana, Uftaad Nana, Uftaad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Ujra Houa Hai Kounba Humara Hum Hogaey Hain Ub Bay Sahara

Karbobala Hai Abaad Nana, Abaad Nana, Abaad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Nana Tumharay Thatheer Walay Umath Kay Hathon Mei Bayrida Thay

Koi Tho Kerta Imdad Nana, Imdad Nana, Imdad Nana,

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana


Hiltha Tha Roza Hasnain-o-Qaiser Zainab Jo Boli Qabr-e-Nabi Per

Sunlay Humaree Rudaad Nana, Rudaad Nana, Rudaad Nana

Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana