shauq arz e karbala ka mere aab o dil mein hai
jeete ji jannat mein pahunchun ye tamanna dil mein hai
daaghe matam se hai raunaq mehfile shabbir ki
jaisi ye mehfil hai waisi shamma bhi mehfil mein hai
bhar ke pani nehr se abbas pyase hi gaye
ye unhi honton ki khushki aaj tak saahil mein hai
bhej di naizon mein akbar se pisar ko khud hussain
ummat e jad ki mohabbat hai ke barchi dil mein hai
nikli padti hai ke qaime mein nahi padta kharaar
gardan e asghar mein nawak zakhm maa ke dil mein hai
aag hai qaimon ke andar aur baahar ahle naar
pardadarane haram ki jaan kis mushkil mein hai
khushk pyase ka gala aur kund khanjar hai ghazab
dil ye kaahe ko hai pathar seena e qaatil mein hai
jamma hai ahle jina baabe jina par waqte asr
intezar ek shamme kushta ka bhari mehfil mein hai