Kanz e Aza

Shareeke Dawate Islam

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

shareeke daawate islam hai abu talib

nabi ko haq ka ek inaam hai abu talib

hari mein wahi mein ilham hai abu talib

haram ke azm ka ehram hai abu talib

ye sunke laaye jo ghuncha wo phool ho jaye

phir inki godh mein pal kar rasool ho jaye

shareeke daawate islam...


rasoole rab ke nigehban hai abu talib

nabi hai deen to emaan hai abu talib

nuzoole wahi ka unwan hai abu talib

baghair lafzon ka quran hai abu talib

inhi ke dam se hui ibtedae bismillah

inhi ne nukta diya zere baa-e-bismillah

shareeke daawate islam...


payambari ki bhala'on ka rad abu talib

madad khuda ki hai shakle madad abu talib

nabi ki dhaal dame jiddo kad abu talib

nishana khatme rasul aur zad abu talib

jihad inka hai pas manzare jihade ali

ali hai baad mein inke ye pehle nade ali

shareeke daawate islam...


kahan hai tang nazar hum se bhi to aankh mila

hai inke kufr ka daawa to kuch sabooot bhi la

koi to rasm jihalat ki inke ghar mein dikha

buton ke aage jhuka inka sar sar apna jhuka

khuda ke noor pe o khaak daalne wale

ye bud-shikan ko hai godhi mein paalne wale

shareeke daawate islam...


rasool inka bada ehteraam karte hai

sawabe deed se tanzeem e aam karte hai

sehr ko uth'te hi awwal ye kaam karte hai

inhe namaz se pehle salam karte hai

nabi agar kisi kaafir ko yun salami hai

to phir zaroor nabuwat mein koi khaami hai

shareeke daawate islam...


inhi ke ghar mein khairul anaam salle alaa

pisar nabi ka hai qaayam maqam salle alaa

kisay naseeb hai ye ehteram salle alaa

ke inke khurd hai saare imam salle alaa

khata muaf ho ye bhi agar nahi momin

to phir jahan mein koi bashar nahi momin

shareeke daawate islam...


na jaanchiye ye rawayat na seerat o kirdar

nabi ke ankh se ab inko dekiye ek baar

ye baargah e risalat mein aap ka tha wiqar

pachade khaake inhe roye ahmade mukhtar

wo aam e huzn bana inka jab wisaal hua

ye gham rasool ke ummat mein ek saal hua

shareeke daawate ...


ye marne waala gar emaan hi na laaya tha

to kya rasool ne kaafir ka gham manaya tha

zaban pe wa-abata baar baar aaya tha

wo khud bhi roye thay auron ko bhi rulaya tha

jata diya tha ke jo mohsin e risalat hai

to usko rona rulana nabi ki sunnat hai

shareeke daawate ...


ye baat agar ho ijazat to poochlun mai yahin

hussain ibne ali kya nahi thay mohsin-e-deen

ham inko roye to phir kyon ho koi chi bajabi

bane thay inka to naaqa rasoole arsh nashin

hussain soye shahe mursali ke seene par

ghazab hai shimr ka zaanu unhi ke seene par

shareeke daawate ...


bagoshe hosh ku jab haale karbala suniye

suna jo mere tasavvur ne jo wo zara suniye

bayan himmat o sabr e shahe huda suniye

wo aati hai malakul maut ki sada suniye

mila jo hukm ke sar se nikaal jaan e hussain

kaha ke saqt hai ya rab ye imtehane hussain

shareeke daawate ...


laga hai zakhme tabar beh raha hai sar se lahoo

bhare hai khoon mein jaane rasool ke gaysu

khareeb jaake rakhun dil pe kis tarha khaboo

ke is lahoo mein to hai fatema ke doodh ki boo

nida ye aayi ke aankhein to daal aankhon mein

kaha behan ka hai is dam khayal aankhon mein

shareeke daawate ...


nida ye aayi ki gardan se khaynch jaan inki

kaha mai kya karoon gardan pe chal rahi hai churi

churi pakad ke ye chillati hai koi bibi

na zibha kar mere bache ko mai dua doongi

jahan rawan tere khanjar ki aab hai zaalim

ye bosagah e risalat maab hai zaalim

shareeke daawate ...


nida ye aayi ki seene se qabz karle jaan

kaha ke teero se chalni hai ay mere rehman

abhi to maarke barchi hata hai ek shaitan

aur ab to hai tahe zaanu e shimr ye quran

ye karb hai ke rukhe paak gard hai ya rab

tere hussain ke seene mein dard hai ya rab

shareeke daawate ...


nida ye aayi ke mazloomiyat ke rutba shina

kamar se khaynch le saabir ki jaan bewaswa

kaha malak ne tadap kar ba dard o hasrat o yaas

kamar to toot gayi jab se margaye abbas

sada e ghaib ye aayi bahaal hai chehra

kaha hai khoon se asghar ke laal hai chehra

shareeke daawate ...


ye guftugu thi ke murjha gaya rasool ka phool

falak se aagaye roohul ameen hazeeno malool

kaha pukaar ke moo dhamp lo bara e-rasool

pisar ki laash pe kholengi apne baal batool

sada ye sunke usi simt chal padi zainab

tadap ke qaime se bahar nikal padi zainab

shareeke daawate ...


naseem udhar se to khudsi ki ye sada aayi

idhar tadapti hui binte murtaza aayi

khareeb e laash jo khaahar basad buka aayi

aqi ke halqe bureeda se ye sada aayi

koi buzurg na ab hai na khurd hai zainab

nabi ki aal tumhare sipurd hai zainab

shareeke daawate ...