kalmago ye to bata hum teri kya baat kare
tu ne jo aal e mohamed pe sitam dhaaye hai
hum se kehte ho ke shabir ka matam na karo
hum to ghamkhaar hai rone ke liya aaye hai
kalmago ye to bata...
lut gayi karbobala may fatema ki beti
is ke bhaiyon ke jo sar naizon pe uthwaye hai
kalmago ye to bata...
chin gayi chadare zainab rahe abbas na jab
haye bemaar ko zanjeer bhi pehnaye hai
kalmago ye to bata...
kar diya qatl bula ke ghar musalmano ne
ahl e ahmad ke farad khoon may nehlaye hai
kalmago ye to bata...
pani maanga tha laga teer galay asghar pe
boond pani ke ewaz teeron ke jaam aaye hai
kalmago ye to bata...
bosa lete thay mohamed jis galay ka logon
us pe shabbir ne ummat se zakhm khaye hai
kalmago ye to bata...
poocha sajjad se zainab ne ye chalte chalte
shaam hai door abhi kitni hum kahan aaye hai
kalmago ye to bata...