Kanz e Aza

Ale rasool kucha-o bazaar ya ali

A noha (1996). Lyrics in Roman Urdu.

Ale rasool kucha-o bazaar ya ali

(Sarkaar ya ali) x2

aale rasul kuch-o bazaar ya

roti to hogi aap ki talwar ya ali


aale rasul.


Shahzadiyawo ke sar pe ridaye nahi rahi, Bacho ke pas bacho ki mayen nahi rahi, (khushya to kya khushi ki) x2

hawaye nahi rahi, luti gayi hai aap ki sarkar ya ali


aale rasul.


Abbas jo hussain ke lashkar ki aas tha, Lagta tha saath hai jab tak wo paas tha, (na khof koi tha) x2

kisi ko ye raas tha, utha hai sar se saaya-e-diwarya ali


aale rasul.


Chini gayi sitam se sakina ki baliyan, Rukhsar par namaya tamacho ke hai nishan, (shimre layin jo bacho ko) x2

deta hai gurkiya, maktal mein kaap ta hai alamdar ya ali


aale rasul.


Ab shaam ka safar aur nabi ki nawasiyan, Pahne huwe hai sayade sajad beriyan, (zalim jo leke aaye hai) x2

lasho ke darmiyan, ankho se khun bahaata hai bimar ya ali


aale rasul.


Wo dekho buzuwo me hai zainab ke resuma, Sar nange jiski maa ko na dekhe hai aasmaa, (balwe me sar khule hai) x2

wo makhdumiye jahan, koi nahi hai muniso ghamkhwar ya ali


aale rasul.


Zehra lahad ko chor ke yasrab aayi hai, Faryad apne lab pe khadija bhi laayi hai

(makhtul karbala me) x2

jo zainab ki bhayi hai, mara gaya khuld ke sardar ya ali


aale rasul.


fiza aisi charsu, jisme hai sans lena bhi dushwar ya ali


aale rasul.


(Roti to hogi aap ki)x2

talwar ya ali


aale rasul.