Kanz e Aza

Abbas Mere Abbas

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Abbas (as) Mere Abbas (as) **2

ay Meri Jaan, Ay Meri Aas,, Abbas (as) Mere Abbas (as)

1. Girte Hue Ghode Se Sarwar Ne Sada Di.

aake Sambhalo Mujhe Girta Hun Mai Bhayi.

qaak Pe Jab Gir Padi Zehra (sa) Ki Kamayi.

shimr (la) Ne Tab Aastee'n Gusse Se Chadayi.


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


2. Zaqmi Bohot Lashe Hussain Ibne Ali (as) Hai.

aankho'n Mein Hai Qoon Zubaa'n Aint Gayi Hai.

sar Hai Khula Gesuon Mein Mitti Bhari Hai.

dashte Bala Mein Ye Sada Goonj Rahi Hai.


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


3. Aaya Qaree'n Shah Ke Jab Shimre Sitamgar (la)

dekha Ke Gardan Hai Dhali Ghash Mein Hai Sarwar (as)

chah Ke Sar Kaatle Shabbir (as) Ka Badhkar.

bole Hussain Ibne Ali Aswes. Hosh Mein Aakar.


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


4. Aagayi Itne Mein Waha'n Binte Payambar (sa)

roye Hussain Ibne Ali (as) Maa'n Se Lipatkar.

bole Bohot Mujhko Rulaye Ye Sitamgar (la)

amma Mai Har Waar Pe Kehta Tha Tadapkar.


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


5. Seene Pe Jab Paoun Rakha Zalime Be Peer (la)

jism Ke Is Paar Se Us Paar Hue Teer.

haaye Koi Naize Lagaye Koi Shamsheer.

hichkiya'n Leleke Yahi Kehte The Shabbir (as)


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


6. Shimr (la) Ne Jab Gardane Shabbir (as) Ko Kaata.

qaak Pe Tadpa Asadullah Ka Jaaya.

ediya'n Ragdi To Kabhi Haatho'n Ko Patka.

aankhein Phirate Hue Sarwar (as) Ne Pukara.


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


7. Baade Hussain Ibne Ali (as) Qaime Jalakar.

durre Lagane Lage Bewo'n Ko Sitamgar (la)

kehti Thi Zainab (sa) Yahi (parwaz) Tadapkar.

cheenta Hai Shimre Sitamgar (la) Meri Chadar.


bhayi Kaha'n Ho,, Abbas (as)-- Aao Madad Ko,, Abbas (as) Aake Mujhe Shimre Sitamgar (la) Se Bachalo.


az: Shayer E Ahahlebait Janab Syed Shabbir Hyder Abidi Parwaz Sahab