Aagaya maahe Aza.....
Yaad me shabbir ke phir bichgaya farshe aza
1. Ghar me zehra ke ajab kohram hai barpa huva
Deen e ahmed ko bachane qafela sheh ka chala
Aao matamdaro sab milke kare matam bapa.....
2. Taziya shabbir ka besheer ka jhoola bhi hai
Hai saja ghazi ka parcham sath mashkiza bhi hai
Har azakhana saja hai aaj misle karbalaa......
3. Maae behene choodiya apne utaare dilfigaar
Chaak karthe hai gareba shaah ke sab ghamgusaar
Har taraf chaayi huvi hai dard aur gham ki Fiza....
4. Hai udaasi chaar janib sare badal hai siyaa
Fatema ke laal ke gham me hai wo bhi mubtela
Roraha hai aasmaa bhi sochkar karbobala....
5.Paagayi meraj mehnat zainabe dilgeer ki
Guftugu hothi hai ghar ghar hazrate shabbir ki
Har taraf se aarahi hai wa HUSSAINA ki sada.....
6. Lutgaye ansaro yawar koi jaani bhi nahi
Sogaya darya pe ab hyder ka saani bhi nahi
Rorahi hai shaah ki ghurbat pe baithi sayyada....
7.Hai tamanna ye RAIS hojaaye ye nauha qubool
Hashr ke maidaan me ZAINUL se kehdengi batool
Sunke nauha ropadi mei AAGAYA MAAHE AZA