zameene karbala mein dafn hai gul pairahan kitne
tadap kar mar gaye seene pe iske khastatan kitne
zameene karbala mein…
koi zainab se pooche to masayib kis khadar jhele
uthaye karbala se shaam tak ranj o mehan kitne
zameene karbala mein…
raza e shaahe waala tha har ek ek daam zainab ka
zamane mein hai aisay bawafa bhai behan kitne
zameene karbala mein…
pisar zainab ke dono qasim o akbar ali asghar
diye hai karbala ko shahe deen ne gulbadan kitne
zameene karbala mein…
fida islam par laakhon huwe tareekh kehti hai
magar hai karbala walon ke jaise bekafan kitne
zameene karbala mein…
wo jisme qasim o akbar se gul asghar se ho ghunche
khiza loote hai tune sach bata aise chaman kitne
zameene karbala mein…