Kanz e Aza

Kya Sitam Tha

A noha written by Bahadur. Lyrics in Roman Urdu.

kya sitam tha karbala mein

dard o gham tha karbala mein

haye zehra ke paale pe shimr e layeen ka khadam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


jalti reti par pade thay

na bhatije na pisar thay

dhoop shiddat ki thi pyaas se honton pe dam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


chau taraf ko dekhte thay

pani pani maangte thay

kaun aata madad ko shaheedon ka sar sab qalam thay

karbala mein

kya sitam tha karbala…


nikli zainab khaak udaati

peet'ti thi apni chati

dekhti kya hai naize pa sar shaahe deen ka alam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


sab charinde ro rahe thay

sab parinde ro rahe thay

dekh haal shahe karbala ki har ek chashm nam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


hurmula jab teer maara

khoon ugalkar wo sidhara

apne baba ke gardan pa gardan kiye apni kham tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


dhal gayi wo pyari gardan

gir pade wo dono jaushan

khoon se chota kurta wo nanha sa nam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


bacha haathon par utha kar

maangte thay pani sarwar

haye wo cheh mahine ke bache ka honton pe dam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…


ay bahadur zulm shah par

jo jo guzre unke upar

aaj tak aisa dekha suna hi nahi jo sitam tha

karbala mein

kya sitam tha karbala…