Kanz e Aza

Khichti Hui Zameen

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

khichti hui zameen pa jo zanjeere pa chali

likhti hui mazaalim e joro jafa chali


ek do pahar mein lut gaya kunba batool ka

ay karbala ke dasht ye kaisi hawa chali

khichti hui zameen pa jo...


jalte huwe qayaam wo bechargi ki shaam

abbas tum kahan ho behan be-rida chali

khichti hui zameen pa jo...


jab hurmala ka teer kamaan se reha hua

naawak ke saath jaanibe asghar qaza chali

khichti hui zameen pa jo...


mud mud ke ambiya ki nazar dekhne lagi

zainab maqame sabr mein wo raasta chali

khichti hui zameen pa jo...


faryad kar rahi thi rasan payse kibriya

jab qaid hoke zurriyat e mustufa chali

khichti hui zameen pa jo...


dono ko parda poshi e ummat ka dhyan tha

bhai tha be-kafan to behan be-rida chali

khichti hui zameen pa jo...


roodad e karbala koi zainab se poochle

kis kis ko saath laayi thi aur leke kya chali

khichti hui zameen pa jo...