Kanz e Aza

Karbala ke Khak Ur Kar Dhanp Lay Shabeer Ko

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Bay Kafan Bhai Nazar Na Aye Ab Hamsheer Ko


Nahar Pe Abbas Ko Jab Ja Ke Fizza Ne Kaha

Kar Rahay Pamaal Lashaa Haen Wo Taeray Bhai Ka

Do Katay Bazu Lagay Thay Dhondnay Shamsheer Ko


Jab Khabar Aye Ke Ghazi Run Main Hain Maray Gaye

Baal Khollay Sayeda Ne Or Zameen Par Baith Ke

Choom Kar Hasrat Say Daikha Chadar-e-Tatheer Ko


Aik Bachi Phool See Ko Neend Thee Aye Hoi

Sonay Ko Baba Ke Seenay Par Jaga Koi Naa Thi

Nanhay Hathon Say Lagi Woh Khaenchnay Har Teer Ko


Asmaan Ko Daikh Kar Shah Ro Ke Ye Kahtay Rahay

Maar Kar Akbar Ko Barchi Seenay Ke Tukray Kye

Mara Ummat Nay Hay Nana Kyon Tairi Tasveer Ko


Waqt-e-Rukhsat Shah Bahan Ko Daikh Kar Kahnay Lagay

Lo Sambhalo Ab Qayadat Haen Safar Ab Sham Ke

Tha Yahi Manzoor Bahna Katab-e-Taqdeer Ko


Meelon Main Phaela Tha Maqtal Or Akaelay Thay Hussain

Haye Mazlooma Ke Gonjay Us Ghari Khaemon Main Waeeen

Dafan Jab Saqlain Kar Ke Shaah Uthay Bay Sheer Ko