karbala ke dasht mein ek la-makaan aabaad hai
noor e haq aur maalik e kaun o makaan aabaad hai
haathon pe asghar ko le kar keh rahe hai ye hussain
ek tabassum se tere ye do jahan aabaad hai
karbala ke dasht mein...
aa mere akbar ke mit'te ja rahe hai naqsh e paa
bas dam e ruqsat ka aankhon mein samaa aabaad hai
karbala ke dasht mein...
dukhtare zahra tera mamnoon hai deen e khuda
shaam ke har mod pe tera bayan aabaad hai
karbala ke dasht mein...
roz e ashoora ke dhalte hi udaasi dekhlo
aaj bhi shaam e ghariban ka dhuan aabaad hai
karbala ke dasht mein...
abh raza kuch aur kya maange dar e lajpaal se
dil mein jab shabbir ki aah o fughan aabaad hai
karbala ke dasht mein...