karbala ke ban mein koi khafila loota gaya
ay azeezo khandane mustufa loota gaya
karbala ke ban mein…
hoti hai maa ko tamanna naujawan dulha bane
umme laila ka wo armaan bekhata loota gaya
karbala ke ban mein…
fatema ki betiyon ka aasra abbas thay
zainab o kulsoom ka wo aasra loota gaya
karbala ke ban mein…
asre ashoora ko do bache atash se mar gaye
nehr par pyason ke dil ka muddua loota gaya
karbala ke ban mein…
gyarveen shab roshni dekhi to zainab ne kaha
zaalimo lootoge ab kya ghar bhara loota gaya
karbala ke ban mein…
boli sughra bibiyon ki godiyon ko dekh kar
bibiyon nanha sa wo ghuncha bhi kya loota gaya
karbala ke ban mein…
ya khuda loota na jaye koi kunba is tarha
jis tarha zehra ka kunba ja-baja loota gaya
karbala ke ban mein…
shaam ke zindan mein aakar margayi binte hussain
maa phupi behno ke dil ka aasra loota gaya
karbala ke ban mein…
hulle jannat ke khuda ne bheje jinke waaste
pairahan tak us shahe mazloom ka loota gaya
karbala ke ban mein…