Kanz e Aza

Islam Ko Hayaat Mili Zahra

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Islam Ko Hayaat Mili, Zahra Ke Dar Se, Aye Kalmago Suno


Quran Sar Buland Hua, Bach Gayi Namaaz

Ik Sani e Batool Ke, Khutbon Ke Asar Se..Aye Kalmago Suno


1)Ik Sajda e Shabeer Se Islam Bach Gaya

Khoon e Hussain Deen Ki Rag Rag Mai Rajh Gaya

Quran Ke Hafizon Ne Jalaaya Nabi Ka Ghar

Looti Rida Batool Ki, Hy Beti Ke Sar Se..Aye Kalmago Suno


2)Ye Aj Subho Shaam Jo Sunta Hai Tu Azaan

Takmeel Isko De Gaya Akbar Sa No Jawaan

Islam Ki Baqa Ke Liye Karbobala Mai

Khenchi Sina Hussain Ne, Bete Ke Jiggar Se..Aye Kalmago Suno


3)Zahra Ki Paak Chaderain Tattheer Ke Talay

Islam Aur Husain Hain Ek Saath Hi Palay

Dete Na Jo Hussain Agar Deen Ko Panaah

Islam Ne Marjana Tha Pehle Hi Asar Se…Aye Kalmago Suno


4)Asghar Masoom Pyaas Ki Sheedat Se Mar Gaya

Aur Apni Maa Ki Godh Ko Veeraan Kar Gaya

Jiske Galay Pe Maar Diya Hurmala Ne Teer

Paani Toh Iske Waaz Ke Maanga Tha Shimar Se…Aye Kalmago Suno


5)Girtay Hain Phir Sambhaltay Hain Rahon Mai Abideen

Sar Pe Ghamon Ki Dhoop Hai Saaya Kahin Nahi

Barsaat Sung O Khisht Ki Akhar Hai Chaar Su

Aal e Nabi Ka Kafila Hy Guzra Jidhar Se…Aye Kalmago Suno


6)Bazar e Shaam Abid e Magmoom Aagya

Jo Saath Le Ke Zainab o Kulsoom Aagya

Maula Ali Ki Beti Yahan Haathon Mai Hai Rasan

Sehmi Khari Hain Bibiyaan Hy Shimr Ke Dar Se…Aye Kalmago Suno