Sar e Hur par roomal e Zehra
Jis din se bandha dunya ne kaha
Khud Karb o bala ne di ye sada
Ab hashr talak ye kehlaye ga
Hur alaihis salam
Kia waqt mila aey Hur tujh ko
Sab ahle qalam majboor huay
Jab naam tera kaghaz pe likha
Teray naam ke aagay likhna parra
Hur alaihis salam
Zainab ne kaha jab bhai tujhe Aur tujh ko chacha Akbar ne kaha
Yani ke shahdat se pehlay
Tujh se ye laqab mansoob hua
Hur alaihis salam
Roomal saja ke Zehra ka
Jab khuld may tu pohoncha ho ga
Jannat may kia ho ga sab ne
Ye keh kar istaqbal tera
Hur alaihis salam
Shabbir ke lashkar may jo parrhi
Hur tu ne namaz e subha dahum
Tasbeeh ke danoo se aayi
Hur teray liye bas aik sada
Hur alaihis salam
Maqtal se tera lasha le kar
Khoon rotay huay aaye Maula
Yun rooyi tujhe bint e Zehra
Khud maut ko ban may kehna parra
Hur alaihis salam
Lashay pe haram thay noha kunaa
Har simt sada thi wa waila
Nohon may magar shamil thi sada
Baatil ko hara kar jeet gaya
Hur alaihis salam
Ehsan shanasi ne Mazhar
Kirdar banaya hay Hur ka
Jab haq ka usay Irfan hua
Har aik muarrikh ne ye likha
Hur alaihis salam