chodta nahi hum ko karbala ka gham tanha
warna chal nahi sakte hum to do qadam tanha
shaah ke azadaron tum ko khaufe mehshar kya
zaamin e shafa'at hai ek ashke gham tanha
chodta nahi hum ko...
phir koi ghame dunya usko choo nahi sakta
baksh de jise maalik karbala ka gham tanha
chodta nahi hum ko...
aaj bhi ghame sheh par kitne tanz hote hai
budkadon ki zad par hai aaj bhi haram tanha
chodta nahi hum ko...
sogaye kahan abbas waqt hai tilaaye ka
kab se raah takte hai dasht mein haram tanha
chodta nahi hum ko...
kitne aish maangoge khud fareb deewano
kyun talab nahi karte karbala ka gham tanha
chodta nahi hum ko...
kehke ye sar e sheh se daad chaahi abid ne
karbala mein lashkar tha shaam mein hai hum tanha
chodta nahi hum ko...
baadh de koi is mein ek mashk choti si
soona soona lagta hai panja e alam tanha
chodta nahi hum ko...
chashme waqt shahid hai hum hussain waale hai
har yazeed ki zad par hum rahe hai hum tanha
chodta nahi hum ko...
lut chuke haram sheh ke raat aagayi sar par
ab to chod de inko baani e sitam tanha
chodta nahi hum ko...