Ali ki mad'ha karta hu'n yahi ek kaam baaqi hai
isi ki waj'ha se dunya me mera naam baaqi hai
zamee'n jab tak hai jab tak charq neeli faam baaqi hai
fiza me fatima ki jaan ka paighaam baaqi hai
Ali ke saath haq hai aur ali bhi saath hai haq ke
Khuda ka naam jab tak hai Ali ka naam baqi hai
hazaaaro'n ke gale kaate ali ne tegh se lekin
Abhi bache ki turbat khodne ka kaam baaqi hai
supurde qaak karna hai abhi zindaa'n me bachi ko
Ilaahi ghamzada zainab ka ye bhi kaam baaqi hai
Ali e murtaza aaye na teri zindagi me gar
sa'eed itna na ghabra naz'a ka hungaam baaqi hai