arbaee'n ke sogwaaro alvida
aaqri majlis hai yaaro alvida
qaatema bil qair chehlum ka hua
alvidaae ashk baaro alvida
akbar o asghar ali ki zaameni
naujawaano sheerqaaro alvida
kehte the ganje shaheedaa'n par haram
fatima zahra ke pyaaro alvida
karbala ki qaak ko soumpa tumhei'n
arshe aazam ke sitaaaro alvida
qabr par beto'n ki zainab ne kaha
maa watan jaati hai pyaaro alvida
qabr se aawaz dete hai hussain
le behen zainab sidhaaro alvida