Kanz e Aza

Aik Nezay Per Rida Thi, Aik Pay Sar

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Aik Nezay per rida thi, Aik pay sar chalta raha

Behn ki chadar ka saya, bhai pay perta raha


1. Aag tou khud bujh gaye thi raat ko qayam ki

Per jigar abid ka sari zindagi jalta raha


2. Janay kesa gham diya bazaar nay Sajjad ko

Umar bhar khairaat main who chadarain deta raha


3. Goojhti kano main reh reh kay hansi besheer ki

Maut tak maa kay galay main teer sa chubta raha


4. Lasha e Abbas per kuch na kaha tha shimr nay

Aik chadar ko authaye bus khara hansta raha


5. Ja baja bikhray paray thay ban main farwa kay nageen

Bhegi palkon say jinhain Shah deer tak chunta raha


6. Kiya tumhi Akbar ho jis ki muntazir hai ek Behan

Ja kay her ek laash pay qasid yehi kehta raha


7. Khoon jo meray qalam main tha siyahi ki terhan

Raat din Akber gham-e-Shabbir main behta raha