Kanz e Aza

Abbas Aa ke Dekho

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Salman Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ki ye sada thi zaalim sata rahe hai

abbas aa ke dekho zaalim sata rahe hai


meri rida sina par mujhko dikha rahe hai

abbas aa ke dekho


sadaat ke saron se chinti thi jab ridayein

aale nabi ne di thi us dam tujhe sadayein

ab khaake karbala se sar ko chupa rahe hai

abbas aa ke dekho

zainab ki ye sada thi...


naazon se jo pali thi bhaiya teri bhatiji

ab hai sitam ke zad par haye sakina meri

usko sata rahe hai durre laga rahe hai

abbas aa ke dekho

zainab ki ye sada thi...


qaimon mein aag jis dam zaalim laga rahe thay

tujhko madad ki khaatir hum sab bula rahe thay

sajjad ka bhi bistar aada jala rahe hai

abbas aa ke dekho

zainab ki ye sada thi...


na-mehramon mein zainab sar nange ab yahan hai

zaamin meri rida ke na jaane tu kahan hai

be-pardagi pe meri aada rula rahe hai

abbas aa ke dekho

zainab ki ye sada thi...


salman ek qayamat karbobala mein guzri

sun kar sada e zainab ghazi ki laash larzi

meri rida sina par mujhko dikha rahe hai

abbas aa ke dekho

zainab ki ye sada thi...