Kanz e Aza

Abbas aa rahe hai

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (1999). Lyrics in Roman Urdu.

Abbas aa rahe hai

Abbas aa rahe hai


(Ek shor hai, al amaan) x4


(Abbas aa rahe hai) x2


(Ek shor hai, al amaan) x4


(Abbas aa rahe hai) x2


Ek haath mein alam aur mashke sakina


(Abbas aa rahe hai) x2


1. Kaandhe pe mashk mashk mein dil hai diler ka

Darya ko chin lena nahi kaam der ka

Ehsan tishnagi me hilega na ghair ka

(Bighra hua mizaj hai) x2

Bighra hua mizaj hai hyder ke sher ka


(Abbas aa rahe hai) x2


2. Chehra hai wal qamar ki ziyao se nur nur

Aankho se jaankhta hua wan najal ka surur

Bala qadi hai aaisi ke sharmae kohe toorr

(Zulfe daraz aisi) x2

Zulfe daraz aisi ke wal lail ka shaur


(Abbas aa rahe hai) x2


3. Pyaasa hai sher ghat ka rasta na rokna

Aankhe jukawo sher ki janib na dekhna

Kaise bache ye jaan ye lazim hai sochna

(Abbas hai jalaal mai) x2

Abbas hai jalaal mai hargiz na tokna


(Abbas aa rahe hai) x2


4. Tewar beta rahe hai qayamt uthayega

Tege nazarse iski khuda hi bachayega

Aaya jo samne koi who mara jayenga

(Ek mashk me furat ko) x2

Ek mashk me furat ko bharkar dikhaega


(Abbas aa rahe hai) x2


5. Kabza hua furat par al kissa mukhtasar

Paani ko dekha phat gayaa abbas ka jigar

Aankhe lahu lahu hui bachcho ki pyas par

(Baali sakina bacho se) x2

Baali sakina bacho se kehti rahi udhar


(Abbas aa rahe hai) x2


6. qaime ke dar par pyaasi sakina thi muntazar

Jumbish alam ki dekh ke deti thi yeh khabar

Tishna labo dua me tumhari hua asar

(Who dekho aa raha hai) x2

Wo dekho aa raha hai chacha ka alam nazar


(Abbas aa rahe hai) x2


7. Aaya alam zurur magar khun me bharaa

Zainab ne sar ko pitt ke shabbir se kaha Kyun kham kamar hai aap ki gaazi kaha gaya

(Bole hussain ab koi) x2

Bole hussain ab koi pyaasa na de sadaa


(Abbas aa rahe hai) x2


Ek haath me alam aur mashke sakina


(Abbas aa rahe hai) x2


(Ek shor hai, al ama) x4