Kanz e Aza

Aao tareekh sunau mai shabe hijrat ki

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Aao tareekh sunau mai shabe hijrat ki


ALI MAULA.. (8)


ALI ALI ALI ALI MAULA..(2)

Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki..(3)


Kis tarha saaye mein..(2)

Talwaro'n ke soye the ALI


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki..(2)


1) Tegh ki chaao'n me sona koi aasaan nahi

Kulle imaa'n hai ALI (aam musalmaan nahi)..(2)

Dusra hota to..(2), bedaar nahi hota kabhi


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki - 2


2) Chand se ye ABUTALIB ka qamar kehta tha

Aajki raat ibadat ka hai andaaz naya

Aaj ALLAH se..(2), sote hue batein hongi


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki -2


3) Bas yahi soch ke hamla nahi kar paate the

Saare kuffar (isharo'n me yahi kehte the)..(2)

Hai NABI soye hue..(2), jaaga hua hoga ALI


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki -2


4) Yehi siddeeq hai aur yehi amee'n hai logo'n

Kitna HAIDER pe bharosa hai NABI ko dekho

FATEMA sa jaisi..(2), amaanat bhi ALI ko dedi


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki - 2


5) Har jagah aake farishto'n ne kiya hai apna

So gaya bistar e AHMED pe AMEER E KAABA

Aaj kaabe ki tarha odh k kaali kamli


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki -2


6) Banke soyenge ALI aaj NABI hairat kya

Waqeya yaad karo sheb e ABITALIB ka

Inke bistar pe to..(2), sone k ALI hai aadi


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki -2


7) Aayatein karti hai aaj bhi ailan ALI

Shab e bedari teri (neend pe qurban ALI)..(2)

Tere sone se hui..(2), deen e KHUDA ki chandi


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki - 2


8) Mir Sajjad wo jab subha Madine ko chala

Rasta rokta aakar jo mere MOLA ka

Saare Makke me na..(2), tha itna bahadur koi


Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki - 2


ALI MAULA..(4)


ALI ALI ALI ALI MAULA....