Shor hai aalam me yahi haaye haaye
Uth gaye dunya se ali haaye haaye
Ho gaye hasnain yateemo yaseer
mar gaye daamaade nabi haaye haaye
Zainabo Kulsoom udhaati hai qaak
Uth'ta hai taboote Ali haaye haaye
Zulm namaazi pa ye kaisa hua
Maara hai sajde me shaqi haaye haaye
Lega ghareebo'n ki qabar koun ab
Uth gaye dunya se Ali haaye haaye
Qaak udhaate hai Hussain o Hasan
Rote hai Abbase Ali haaye haaye
Qaak udhaakar yahi qaadim kaho
Haaye Ali Haaye Ali haaye haaye