Kanz e Aza

Safar Zainabس ka

A noha for Shehzadi Zainab (s.a) (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Beridaa Shaam ki galiyo mei safar Zainab ka

Sar hay pathar se huwa khoon mei tar Zainab ka


Gir pardha khaak pe Abbas ka sar maqtal mei

Nok e neza se na dekha gaya sar Zainab ka


Nok e neza pe bhi rota reha shabir ka sar

Kaat ta jata tha manzar yeh jigar Zainab ka


Har sehar zulm naya aur nayi mushkil har Shaam

Dard bertaa reha har Shaam o sehar Zainab ka


Haye bazaar mei Abid ko masaib wo mille

Ho gaya budha jawaani mei pisar Zainab ka


Ek rassi mei bandhe dono galle khinj te th

Haye udhar baali Sakina ka idhar Zainab ka


Eh khudda sakth musibat ki garri mei hay dua

Kaash imdaad ko aa jaya padar Zainab ka


Kisko awaaz bhalla degi bulaayegi kisse

Ho chuka qatal har ek Noor e nazar Zainab ka


Arsalan Azmi sab khaak huwe shimr o yazeed

Ab bhi darbaar mei baaki hay asar Zainab ka