kis khaum may rawan hai pani ka band karna
aale nabi ko pyasa kisne zibha kiya hai
maari kisi ne barchi naiza kisi ne maara
dam tod'ta hai beta aur baap dekhta hai
kis khaum may...
maare shimr ne baba moo par mere tamache
binte hussain tadpi mere durr bhi khenchta hai
kis khaum may...
abbas e bawafa ne aisi wafa dikhayi
baazu kahin pade hai laasha kahin pada hai
kis khaum may...
zainab se koi pooche kaise mari sakina
zindan may akeli dam jiska ghut gaya hai
kis khaum may...
kya hurmala ne jaana pyasa nahi tha asghar
jiske galay ko chalni us teer ne kiya hai
kis khaum may...