Kanz e Aza

Noore Muhammadi

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

noore muhammadi ka ye aejaz ek hai

chauda hai aks aur rukhe naaz ek hai


ahmed se leke taa ba muhammad har ek ki

banda nawazion ka bhi andaaz ek hai

noore muhammadi ka…


jaise ali ki zarb ko haasil hai imtiyaz

sajda tamaam sajdon mein mumtaz ek hai

noore muhammadi ka…


noke sina pe padh ke bataya hussain ne

quran o ahle bayt ki awaaz ek hai

noore muhammadi ka…


kausar pe ja milenge ye dono rasool se

anjaam inka ek hai aghaaz ek hai

noore muhammadi ka…


leh tootne na paaye kabhi ya hussain ki

azm jawan ke waaste ye karz ek hai

noore muhammadi ka…


marna jo jaante hai wohi jee rahe hai aaj

ho maut zindagi ka yehi raaz ek hai

noore muhammadi ka…


jaati hai jaan jaaye aza e hussain mein

ye to hamare waaste ejaaz ek hai

noore muhammadi ka…


ek bhai ek behan ki kahani hai karbala

andaz ek hai asar andaz ek hai

noore muhammadi ka…